rahguzar rahguzar se puchh liya
rahguzar rahguzar se pūchh liyā
terā ghar sab ke ghar se pūchh liyā
jo zabāñ se na kar sake vo bayāñ
ham ne un kī nazar se pūchh liyā
gumrahī aur baḌh ga.ī apnī
rāsta rāhbar se pūchh liyā
jab zamīñ ne diyā na terā patā
ham ne shams o qamar se pūchh liyā
tum na aao na aa.egī raunaq
ham ne dīvār-o-dar se pūchh liyā
merī chup ko vo kyā samajhte haiñ
raaz jab chashm-e-tar se pūchh liyā
ilm kā raaz 'arsh' bas ye hai
kuchh idhar kuchh udhar se pūchh liyā
rahguzar rahguzar se puchh liya
tera ghar sab ke ghar se puchh liya
jo zaban se na kar sake wo bayan
hum ne un ki nazar se puchh liya
gumrahi aur baDh gai apni
rasta rahbar se puchh liya
jab zamin ne diya na tera pata
hum ne shams o qamar se puchh liya
tum na aao na aaegi raunaq
hum ne diwar-o-dar se puchh liya
meri chup ko wo kya samajhte hain
raaz jab chashm-e-tar se puchh liya
ilm ka raaz 'arsh' bas ye hai
kuchh idhar kuchh udhar se puchh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.