rahi agarche na mujhko kabhi rulae baghair
rahī agarche na mujh ko kabhī rulā.e baġhair
qarār dil ko nahīñ terī yaad aa.e baġhair
koī ye husn kī dekhe to shān-e-be-tābī
rahā gayā na mire dil meñ un se aa.e baġhair
hañsā hañsā ke mujhe aur ḳhud bhī hañs hañs kar
rahe na ḳhaak meñ merā vo dil milā.e baġhair
agarche sharm ne kahne diyā na kuchh muñh se
rahe na aah pe merī vo sar uThā.e baġhair
kamāl-e-jazb-e-mohabbat se dāstāñ merī
tirī zabāñ pe hai merī zabāñ pe aa.e baġhair
gudāz-e-qalb vo ne.amat hai jo nahīñ miltī
bashar ko aañkh se ḳhūn-e-jigar bahā.e baġhair
jalā ke ātish-e-ġham se ise banā iksīr
ki sang-o-ḳhisht se bad-tar hai dil jalā.e baġhair
ye raaz vo hai jise maiñ hī jāntā huuñ 'jalīl'
ki dil meñ vo utar aa.e nazar meñ aa.e baġhair
rahi agarche na mujh ko kabhi rulae baghair
qarar dil ko nahin teri yaad aae baghair
koi ye husn ki dekhe to shan-e-be-tabi
raha gaya na mere dil mein un se aae baghair
hansa hansa ke mujhe aur KHud bhi hans hans kar
rahe na KHak mein mera wo dil milae baghair
agarche sharm ne kahne diya na kuchh munh se
rahe na aah pe meri wo sar uThae baghair
kamal-e-jazb-e-mohabbat se dastan meri
teri zaban pe hai meri zaban pe aae baghair
gudaz-e-qalb wo neamat hai jo nahin milti
bashar ko aankh se KHun-e-jigar bahae baghair
jala ke aatish-e-gham se ise bana iksir
ki sang-o-KHisht se bad-tar hai dil jalae baghair
ye raaz wo hai jise main hi jaanta hun 'jalil'
ki dil mein wo utar aae nazar mein aae baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.