rahi dil ki dil mein zaban tak na pahunchi
rahi dil ki dil mein zaban tak na pahunchi
Shiv Ratan Lal Barq Punchhwi
MORE BYShiv Ratan Lal Barq Punchhwi
rahī dil kī dil meñ zabāñ tak na pahuñchī
mohabbat kī duniyā bayāñ tak na pahuñchī
baserā rahā us kā sehn-e-chaman meñ
magar ye bahār āshiyāñ tak na pahuñchī
unheñ ḳhvāb meñ bhī na dhyān aayā mirā
ye rūh-e-haqīqat gumāñ tak na pahuñchī
shab-e-ġham mirā dil thā suulī pe lekin
tamannā sarishk-e-ravāñ tak na pahuñchī
bahāroñ kā to zikr hī kyā karūñ maiñ
gulistān-e-dil meñ ḳhizāñ tak na pahuñchī
tasavvur se aage taḳhayyul se aage
mire dil kī vahshat kahāñ tak na pahuñchī
rahī mahv tauf-e-chaman 'barq' aksar
magar vo mire āshiyāñ tak na pahuñchī
rahi dil ki dil mein zaban tak na pahunchi
mohabbat ki duniya bayan tak na pahunchi
basera raha us ka sehn-e-chaman mein
magar ye bahaar aashiyan tak na pahunchi
unhen KHwab mein bhi na dhyan aaya mera
ye ruh-e-haqiqat guman tak na pahunchi
shab-e-gham mera dil tha suli pe lekin
tamanna sarishk-e-rawan tak na pahunchi
bahaaron ka to zikr hi kya karun main
gulistan-e-dil mein KHizan tak na pahunchi
tasawwur se aage taKHayyul se aage
mere dil ki wahshat kahan tak na pahunchi
rahi mahw tauf-e-chaman 'barq' aksar
magar wo mere aashiyan tak na pahunchi
- Book : Barq-o-Sharar (Pg. 106)
- Author : Dr. Barq Poonchvi
- Publication : Swaraj Publication (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.