rahi firaq mein bhi shakl ru-ba-ru teri
rahī firāq meñ bhī shakl rū-ba-rū terī
shabīh khīñchī tasavvur ne hū-ba-hū terī
muaaf rakh jo hai gul-hā-e-tar se pyaar mujhe
ki un meñ rang tirā kuchh hai kuchh hai bū terī
nasīm-e-sub.h kā jhoñkā nafas nafas terā
rahegī soḳhta-jānoñ ko aarzū terī
ye faḳhr kam hai ki ham qābil-e-ḳhitāb to haiñ
aziiz aur ke alqāb se hai tū terī
dahān-e-ġhuncha-e-tar se zabān-e-sausan se
chaman chaman meñ sunī maiñ ne guftugū terī
dil-o-jigar phuke jaate haiñ soz-e-hijrāñ se
lagan azaab huī mujh ko sham.a-rū terī
kahāñ kahāñ tire 'mahrūm' ko ba-qaul-e-'surūr'
kashāñ kashāñ liye phirtī hai justujū terī
rahi firaq mein bhi shakl ru-ba-ru teri
shabih khinchi tasawwur ne hu-ba-hu teri
muaf rakh jo hai gul-ha-e-tar se pyar mujhe
ki un mein rang tera kuchh hai kuchh hai bu teri
nasim-e-subh ka jhonka nafas nafas tera
rahegi soKHta-jaanon ko aarzu teri
ye faKHr kam hai ki hum qabil-e-KHitab to hain
aziz aur ke alqab se hai tu teri
dahan-e-ghuncha-e-tar se zaban-e-sausan se
chaman chaman mein suni main ne guftugu teri
dil-o-jigar phuke jate hain soz-e-hijran se
lagan azab hui mujh ko shama-ru teri
kahan kahan tere 'mahrum' ko ba-qaul-e-'surur'
kashan kashan liye phirti hai justuju teri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.