rahi gar sohbat-e-aghyar baqi
rahī gar sohbat-e-aġhyār baaqī
to kaahe ko raheñge yaar baaqī
garebāñ meñ mire dast-e-junūñ ne
na chhoḌā naam ko ab taar baaqī
nahīñ āshiq ke tan meñ ḳhuun kī buuñd
rahī ai dīda-e-ḳhūñ-bār baaqī
na chhoḌī shaiḳh jī sāhab ke sar par
sunā rindoñ ne kal dastār baaqī
rahegā yūñhī tā roz-e-qayāmat
ḳhilāf-e-sub.ha-o-zunnār baaqī
mohabbat meñ butoñ kī mar miTe haiñ
rahā hai ik faqat huñkār baaqī
vale is sard-mehrī-e-falak kī
hai vo hī garmī-e-bāzār baaqī
ye pūchhā maiñ ne ik din apne dil se
havas hai tum ko kuchh ai yaar baaqī
kahā us ne agar mil jaa.e vo shoḳh
to kahnā kuchh nahīñ zinhār baaqī
tire bīmār-e-ġham ko hai to bas hai
faqat ik hasrat-e-dīdār baaqī
evaz bose ke dil deñge unheñ 'aish'
nahīñ ab is meñ kuchh takrār baaqī
rahi gar sohbat-e-aghyar baqi
to kahe ko rahenge yar baqi
gareban mein mere dast-e-junun ne
na chhoDa nam ko ab tar baqi
nahin aashiq ke tan mein KHun ki bund
rahi ai dida-e-KHun-bar baqi
na chhoDi shaiKH ji sahab ke sar par
suna rindon ne kal dastar baqi
rahega yunhi ta roz-e-qayamat
KHilaf-e-subha-o-zunnar baqi
mohabbat mein buton ki mar miTe hain
raha hai ek faqat hunkar baqi
wale is sard-mehri-e-falak ki
hai wo hi garmi-e-bazar baqi
ye puchha main ne ek din apne dil se
hawas hai tum ko kuchh ai yar baqi
kaha us ne agar mil jae wo shoKH
to kahna kuchh nahin zinhaar baqi
tere bimar-e-gham ko hai to bas hai
faqat ek hasrat-e-didar baqi
ewaz bose ke dil denge unhen 'aish'
nahin ab is mein kuchh takrar baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.