rahi ek ghairat-e-laila ki dil mein justuju barson
rahi ek ghairat-e-laila ki dil mein justuju barson
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
rahī ik ġhairat-e-lailā kī dil meñ justujū barsoñ
ba-rañg-e-qais ham ne ḳhaak chhānī kū-bakū barsoñ
na laa.e kuchh zabāñ par ham ḳhamoshī naam hai is kā
kiyā siine meñ ham ne apne ḳhūn-e-ārzū barsoñ
tasāhul is ko kahte haiñ taġhāful naam hai is kā
ga.ī ik dam meñ merī jaan aur aaya na tū barsoñ
jo ghaḌiyoñ daañt piise haiñ to barsoñ hoñTh chābe haiñ
lab-e-rangīñ ke ġham meñ ham ne thūkā hai lahū barsoñ
pareshānī pe merī kuchh na rahm aaya use hargiz
kahā zulf-e-dotā se haal apnā mū-ba-mū barsoñ
mahīnoñ dāstāñ merī sunī hai andalīboñ ne
uḌāyā hai gul-e-tar ne tumhārā rang-o-bū barsoñ
kiyā gar shaġhl mai-ḳhvārī kā tum ne ġhair se dam bhar
bharā ḳhūn-e-jigar se ham ne jām-e-ārzū barsoñ
kamar kā hal huā hargiz na uqda mū-shigāfoñ se
rahī hai mujh se isbāt-e-dahan meñ guftugū barsoñ
dar-e-mai-ḳhāna mehrāb-e-ibādat samjhe ham mai-kash
sharāb-e-purtgalī se kiyā ham ne vuzū barsoñ
kahīñ māh-e-do-hafta kī nazar mujh ko na lag jaa.e
na aaya baam par is ḳhauf se vo māh-rū barsoñ
adā ho sajda mehrāb-e-ḳham-e-shamshīr-e-qātil meñ
kiyā apne lahū se is liye ham ne vuzū barsoñ
tasavvur meñ jo bosa le liyā thā ham ne hoñThoñ kā
rahā āzurda itnī baat par vo tund-ḳhū barsoñ
nahīñ kuchh ek do din kā huuñ maiñ shāgird ai 'vahbī'
'qalaq' se shā.erī meñ maiñ ne kī hai guftugū barsoñ
rahi ek ghairat-e-laila ki dil mein justuju barson
ba-rang-e-qais hum ne KHak chhani ku-baku barson
na lae kuchh zaban par hum KHamoshi nam hai is ka
kiya sine mein hum ne apne KHun-e-arzu barson
tasahul is ko kahte hain taghaful nam hai is ka
gai ek dam mein meri jaan aur aaya na tu barson
jo ghaDiyon dant pise hain to barson honTh chabe hain
lab-e-rangin ke gham mein hum ne thuka hai lahu barson
pareshani pe meri kuchh na rahm aaya use hargiz
kaha zulf-e-dota se haal apna mu-ba-mu barson
mahinon dastan meri suni hai andalibon ne
uDaya hai gul-e-tar ne tumhaara rang-o-bu barson
kiya gar shaghl mai-KHwari ka tum ne ghair se dam bhar
bhara KHun-e-jigar se hum ne jam-e-arzu barson
kamar ka hal hua hargiz na uqda mu-shigafon se
rahi hai mujh se isbaat-e-dahan mein guftugu barson
dar-e-mai-KHana mehrab-e-ibaadat samjhe hum mai-kash
sharab-e-purtgali se kiya hum ne wuzu barson
kahin mah-e-do-hafta ki nazar mujh ko na lag jae
na aaya baam par is KHauf se wo mah-ru barson
ada ho sajda mehrab-e-KHam-e-shamshir-e-qatil mein
kiya apne lahu se is liye hum ne wuzu barson
tasawwur mein jo bosa le liya tha hum ne honThon ka
raha aazurda itni baat par wo tund-KHu barson
nahin kuchh ek do din ka hun main shagird ai 'wahbi'
'qalaq' se shaeri mein main ne ki hai guftugu barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.