rahi marzi bas uski hi jise jaisa bana Dala
rahī marzī bas us kī hī jise jaisā banā Daalā
kabhī jo taaj thā sar kā use kaasa banā Daalā
banā.ī bhī zamīñ us ne to ik jaisī nahīñ ye bhī
kahīñ sahrā kahīñ jangal kahīñ dariyā banā Daalā
ham aisoñ ko banā kar ke ḳhudā uktā gayā thā phir
tirī āñkheñ banā Dālīñ tirā chehra banā Daalā
banānā thā use dariyā sañbhāle ek sāhil ko
to ik tujh sā banā Daalā phir ik mujh sā banā Daalā
rahi marzi bas us ki hi jise jaisa bana Dala
kabhi jo taj tha sar ka use kasa bana Dala
banai bhi zamin us ne to ek jaisi nahin ye bhi
kahin sahra kahin jangal kahin dariya bana Dala
hum aison ko bana kar ke KHuda ukta gaya tha phir
teri aankhen bana Dalin tera chehra bana Dala
banana tha use dariya sanbhaale ek sahil ko
to ek tujh sa bana Dala phir ek mujh sa bana Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.