rahin-e-bim-e-hasti hai dil-e-diwana barson se
rahīn-e-bīm-e-hastī hai dil-e-dīvāna barsoñ se
havā kī zad meñ hai apnā charāġh-e-ḳhāna barsoñ se
ḳhushā ai josh-e-hasrat ashk bhar aa.e haiñ āñkhoñ meñ
tarastā thā charāġhāñ ko mirā kāshāna barsoñ se
ye husn-o-ishq afkār-e-azal kī yādgāreñ haiñ
zabān-e-dahr dohrātī hai ye afsāna barsoñ se
junūn-e-ishq ko me.arāj par pahuñchā diyā ham ne
hai apne chāk-e-pairāhan meñ ik vīrāna barsoñ se
ye hasrat hai javānī bāryāb-e-husn ho jaa.e
hai āvāra ye mauj-e-nik.hat-e-mastāna barsoñ se
jhukā duuñ arsh-o-kursī ko agar vo sāmne aa.eñ
liye phirtā huuñ shauq-e-sajda-e-rindāna barsoñ se
mohabbat meñ 'zafar' hai be-ḳhudī bhī sho.ala-tābī bhī
mai-e-do-ātisha piitā huuñ maiñ rozāna barsoñ se
rahin-e-bim-e-hasti hai dil-e-diwana barson se
hawa ki zad mein hai apna charagh-e-KHana barson se
KHusha ai josh-e-hasrat ashk bhar aae hain aankhon mein
tarasta tha charaghan ko mera kashana barson se
ye husn-o-ishq afkar-e-azal ki yaadgaren hain
zaban-e-dahr dohraati hai ye afsana barson se
junun-e-ishq ko mearaj par pahuncha diya hum ne
hai apne chaak-e-pairahan mein ek virana barson se
ye hasrat hai jawani baryab-e-husn ho jae
hai aawara ye mauj-e-nikhat-e-mastana barson se
jhuka dun arsh-o-kursi ko agar wo samne aaen
liye phirta hun shauq-e-sajda-e-rindana barson se
mohabbat mein 'zafar' hai be-KHudi bhi shoala-tabi bhi
mai-e-do-atisha pita hun main rozana barson se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.