rahin-e-minnat-o-ehsan-e-yar main bhi hun
rahīn-e-minnat-o-ehsān-e-yār maiñ bhī huuñ
fareb-ḳhurda-e-fasl-e-bahār maiñ bhī huuñ
mujhe bhī lete chalo apne saath dīvāno
nisār-e-azmat-e-zanjīr-o-dār maiñ bhī huuñ
sunā hai rang-e-bahārāñ nikharne vaalā hai
ye dekhne ke liye be-qarār maiñ bhī huuñ
idhar bhī dekh le ai malika-e-bahār-e-ġhazal
ki terī chaah meñ ik dil-figār maiñ bhī huuñ
tire ḳhayāl ke dar par jabīn-e-dil rakh kar
zamāna biit gayā ashk-bār maiñ bhī huuñ
ruḳh-e-hayāt meñ nashtar utārne vaale
ye soch le ki tirā rāzdār maiñ bhī huuñ
jahāñ pe sirf mohabbat kā raaj hai 'aḳhtar'
usī dayār kā ek ḳhāksār maiñ bhī huuñ
rahin-e-minnat-o-ehsan-e-yar main bhi hun
fareb-KHurda-e-fasl-e-bahaar main bhi hun
mujhe bhi lete chalo apne sath diwano
nisar-e-azmat-e-zanjir-o-dar main bhi hun
suna hai rang-e-bahaaran nikharne wala hai
ye dekhne ke liye be-qarar main bhi hun
idhar bhi dekh le ai malika-e-bahaar-e-ghazal
ki teri chah mein ek dil-figar main bhi hun
tere KHayal ke dar par jabin-e-dil rakh kar
zamana bit gaya ashk-bar main bhi hun
ruKH-e-hayat mein nashtar utarne wale
ye soch le ki tera raazdar main bhi hun
jahan pe sirf mohabbat ka raj hai 'aKHtar'
usi dayar ka ek KHaksar main bhi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.