rahm kar o bad-guman-e-arzu
rahm kar o bad-gumān-e-ārzū
luT rahā hai kārvān-e-ārzū
hoshiyār o bad-gumān-e-ārzū
jaag uThe ab ḳhuftagān-e-ārzū
rang laa.ī hai fuġhān-e-ārzū
munfa.il hai ab vo jān-e-ārzū
kyā kiyā tū ne fuġhān-e-ārzū
kar diye zāhir nishān-e-ārzū
ruḳh bhī ab karte nahīñ manzil kī samt
thak ga.e āzurdagān-e-ārzū
un kī āñkhoñ meñ bhī aañsū aa ga.e
sun ke merī dāstān-e-ārzū
thartharā.ī hai jabīn-e-āshiqī
sāmne hai āstān-e-ārzū
dil hī dil meñ haa.e re ādāb-e-husn
kah rahā huuñ dāstān-e-ārzū
bekasī nazroñ se terī āshkār
merā chehra tarjumān-e-ārzū
aap kyoñ giryāñ haiñ mere haal par
aur liije imtihān-e-ārzū
merī sūrat dekh kar vo ro diye
ho ga.ī sharh-e-nihān-e-ārzū
rahm kar o bad-guman-e-arzu
luT raha hai karwan-e-arzu
hoshiyar o bad-guman-e-arzu
jag uThe ab KHuftagan-e-arzu
rang lai hai fughan-e-arzu
munfail hai ab wo jaan-e-arzu
kya kiya tu ne fughan-e-arzu
kar diye zahir nishan-e-arzu
ruKH bhi ab karte nahin manzil ki samt
thak gae aazurdagan-e-arzu
un ki aankhon mein bhi aansu aa gae
sun ke meri dastan-e-arzu
thartharai hai jabin-e-ashiqi
samne hai aastan-e-arzu
dil hi dil mein hae re aadab-e-husn
kah raha hun dastan-e-arzu
bekasi nazron se teri aashkar
mera chehra tarjuman-e-arzu
aap kyon giryan hain mere haal par
aur lije imtihan-e-arzu
meri surat dekh kar wo ro diye
ho gai sharh-e-nihan-e-arzu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.