rahna wahin pe chahiye tha par nahin rahe
rahnā vahīñ pe chāhiye thā par nahīñ rahe
rāhoñ meñ saarī 'umr rahe ghar nahīñ rahe
aisī siyāh raat thī ik baar to lagā
āñkheñ nahīñ rahī haiñ yā manzar nahīñ rahe
khul ke baras kabhī mire abr-e-gurez-ḳhū
nam ho rahe haiñ sūkhe ghaḌe bhar nahīñ rahe
aisā na ho ki lauT kar aanā paḌe yahīñ
is ḳhauf se bhī qasd-e-safar kar nahīñ rahe
har saañs lag rahā hai hameñ āḳhirī yahāñ
jī bhī kahāñ rahe haiñ agar mar nahīñ rahe
dariyā to de rahā hai hameñ rāsta 'zahīr'
ham be-yaqīn paañv magar dhar nahīñ rahe
rahna wahin pe chahiye tha par nahin rahe
rahon mein sari 'umr rahe ghar nahin rahe
aisi siyah raat thi ek bar to laga
aankhen nahin rahi hain ya manzar nahin rahe
khul ke baras kabhi mere abr-e-gurez-KHu
nam ho rahe hain sukhe ghaDe bhar nahin rahe
aisa na ho ki lauT kar aana paDe yahin
is KHauf se bhi qasd-e-safar kar nahin rahe
har sans lag raha hai hamein aaKHiri yahan
ji bhi kahan rahe hain agar mar nahin rahe
dariya to de raha hai hamein rasta 'zahir'
hum be-yaqin panw magar dhar nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.