rahne diya na chain se lail-o-nahaar ne
rahne diya na chain se lail-o-nahaar ne
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
MORE BYHaji Shafiullah Shafi Bahraichi
rahne diyā na chain se lail-o-nahār ne
maarā ġham-e-hayāt-o-ġham-e-rozgār ne
ik kaif pā liyā hai dil-e-be-qarār ne
phir gudgudā diyā hai nasīm-e-bahār ne
jalvoñ kī taab lā na sakā bazm-e-nāz meñ
khoyā ḳhud e.atibār dil-e-be-qarār ne
chheḌe na koī merī mohabbat kī dāstāñ
khāyā hai taaza zaḳhm dil-e-dāġh-dār ne
duniyā kā ġham kabhī ġham-e-uqbā kabhī rahā
paayā na chain mere dil-e-be-qarār ne
dāman se un ke lipTī kabhī ruḳh se jā lagī
kyā kyā maze na luuTe haiñ musht-e-ġhubār ne
uTThī kabhī naqāb to khil uTThī chāñdnī
jalve bikher Daale haiñ ruḳhsār-e-yār ne
miltā jo umr bhar na mujhe vasl-e-yār se
vo kaif de diyā hai tire intizār ne
duniyā-e-ishq meñ vahī sābit-qadam rahā
baḳhshā junūn-e-ishq jise tere pyaar ne
aatā nahīñ hai aaj bhī vo sāmne 'shafī.a'
baḳhshā jahān ko to usī parda-dār ne
rahne diya na chain se lail-o-nahaar ne
mara gham-e-hayat-o-gham-e-rozgar ne
ek kaif pa liya hai dil-e-be-qarar ne
phir gudguda diya hai nasim-e-bahaar ne
jalwon ki tab la na saka bazm-e-naz mein
khoya KHud eatibar dil-e-be-qarar ne
chheDe na koi meri mohabbat ki dastan
khaya hai taza zaKHm dil-e-dagh-dar ne
duniya ka gham kabhi gham-e-uqba kabhi raha
paya na chain mere dil-e-be-qarar ne
daman se un ke lipTi kabhi ruKH se ja lagi
kya kya maze na luTe hain musht-e-ghubar ne
uTThi kabhi naqab to khil uTThi chandni
jalwe bikher Dale hain ruKHsar-e-yar ne
milta jo umr bhar na mujhe wasl-e-yar se
wo kaif de diya hai tere intizar ne
duniya-e-ishq mein wahi sabit-qadam raha
baKHsha junun-e-ishq jise tere pyar ne
aata nahin hai aaj bhi wo samne 'shafia'
baKHsha jahan ko to usi parda-dar ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.