rahne do ek do-ghaDi diwar-o-dar ke samne
rahne do ik do-ghaḌī dīvār-o-dar ke sāmne
ek muddat baa'd aayā huuñ maiñ ghar ke sāmne
tum ko da.avā hai ki tum patthar ho maiñ kahtā huuñ mom
faisla ho jā.egā aao sharar ke sāmne
ek qātil jo mushābah merī hī sūrat se thā
qatl mujh ko kar gayā merī nazar ke sāmne
ab sar-e-manzar samandar hai lahū kā aur maiñ
haT gayā koī aqab meñ mujh ko kar ke sāmne
āsmāñ sat.h-e-zamīñ se ab nazar aatā nahīñ
sar se bhī ūñchī hai ik dīvār sar ke sāmne
pī rahā huuñ shaam se apnī shikastoñ kā lahū
yaas rakhtī jā rahī hai jaam bhar ke sāmne
maiñ ne dekhā aa.ine ko aks meñ chhupte hue
ye tamāshā bhī huā merī nazar ke sāmne
nuqta-e-āġhāz par har baar lauT aatā huuñ maiñ
rāsta hī ḳhatm hai har rahguzar ke sāmne
bah ga.e 'mohsin' tan-āvar peḌ bhī sailāb meñ
chand tinkoñ kī haqīqat kyā shajar ke sāmne
rahne do ek do-ghaDi diwar-o-dar ke samne
ek muddat ba'd aaya hun main ghar ke samne
tum ko dawa hai ki tum patthar ho main kahta hun mom
faisla ho jaega aao sharar ke samne
ek qatil jo mushabah meri hi surat se tha
qatl mujh ko kar gaya meri nazar ke samne
ab sar-e-manzar samandar hai lahu ka aur main
haT gaya koi aqab mein mujh ko kar ke samne
aasman sath-e-zamin se ab nazar aata nahin
sar se bhi unchi hai ek diwar sar ke samne
pi raha hun sham se apni shikaston ka lahu
yas rakhti ja rahi hai jam bhar ke samne
main ne dekha aaine ko aks mein chhupte hue
ye tamasha bhi hua meri nazar ke samne
nuqta-e-aghaz par har bar lauT aata hun main
rasta hi KHatm hai har rahguzar ke samne
bah gae 'mohsin' tan-awar peD bhi sailab mein
chand tinkon ki haqiqat kya shajar ke samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.