rahne ko ek aur badan chahiye mujhe
rahne ko ek aur badan chāhiye mujhe
ya.anī ki phir se taaza ghuTan chāhiye mujhe
yā to mujhe yuuñ kuchh bhī kabhī chāhiye nahīñ
yā chāhiye to chashm-zadan chāhiye mujhe
ai gard-e-rāh dekh mujhe dekh aur batā
ab kaun-se safar kī thakan chāhiye mujhe
āñkhoñ meñ ek ḳhvāb kī be-gor laash hai
jis ke liye ye niiñd kafan chāhiye mujhe
jaisā bhī huuñ maiñ muskurā letā huuñ kam hai kyā
ab is ke baad kaunsā fan chāhiye mujhe
tum par khulā nahīñ hai abhī dard kā surūr
tum bhī kahoge sirf jalan chāhiye mujhe
'shīrāz' ḳhāmushī meñ ye āvāz dab ga.ī
kab se pukārtā huuñ suḳhan chāhiye mujhe
rahne ko ek aur badan chahiye mujhe
yani ki phir se taza ghuTan chahiye mujhe
ya to mujhe yun kuchh bhi kabhi chahiye nahin
ya chahiye to chashm-zadan chahiye mujhe
ai gard-e-rah dekh mujhe dekh aur bata
ab kaun-se safar ki thakan chahiye mujhe
aankhon mein ek KHwab ki be-gor lash hai
jis ke liye ye nind kafan chahiye mujhe
jaisa bhi hun main muskura leta hun kam hai kya
ab is ke baad kaunsa fan chahiye mujhe
tum par khula nahin hai abhi dard ka surur
tum bhi kahoge sirf jalan chahiye mujhe
'shiraaz' KHamushi mein ye aawaz dab gai
kab se pukarta hun suKHan chahiye mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.