rahne ko sirf jism tha zer-e-zamin raha
rahne ko sirf jism thā zer-e-zamīñ rahā
jo kuchh thā mere paas yahāñ kā yahīñ rahā
logoñ kā kyā hai un kā ravayya yahī to hai
aisā nahīñ rahā kabhī vaisā nahīñ rahā
ho mushkiloñ kā daur ki ḳhushiyoñ kā silsila
har haal meñ mujhe to usī par yaqīñ rahā
dil meñ hī rah ga.ī hai talab us ke diid kī
parda-nashīñ to aaj bhī parda-nashīñ rahā
us ko baḌā ġhurūr thā mastāna chaal par
Thokar lagī phir aisī kahīñ kā nahīñ rahā
āvārgī ne saath nahīñ chhoḌā umr-bhar
maiñ aur merā zehn kahīñ dil kahīñ rahā
jitnī kahāniyāñ thiiñ faqat rāstoñ kī thiiñ
manzil pe aa ke lutf hī baaqī nahīñ rahā
milne kī aas āḳhirī-dam tak banī rahī
be-jān jism thā mirā zinda yaqīñ rahā
rahne ko sirf jism tha zer-e-zamin raha
jo kuchh tha mere pas yahan ka yahin raha
logon ka kya hai un ka rawayya yahi to hai
aisa nahin raha kabhi waisa nahin raha
ho mushkilon ka daur ki KHushiyon ka silsila
har haal mein mujhe to usi par yaqin raha
dil mein hi rah gai hai talab us ke did ki
parda-nashin to aaj bhi parda-nashin raha
us ko baDa ghurur tha mastana chaal par
Thokar lagi phir aisi kahin ka nahin raha
aawargi ne sath nahin chhoDa umr-bhar
main aur mera zehn kahin dil kahin raha
jitni kahaniyan thin faqat raston ki thin
manzil pe aa ke lutf hi baqi nahin raha
milne ki aas aaKHiri-dam tak bani rahi
be-jaan jism tha mera zinda yaqin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.