rahne lage hain hum jo duaon ke dosh pe
rahne lage haiñ ham jo duāoñ ke dosh pe
ban kar charāġh ab haiñ havāoñ ke dosh pe
islām gir rahā thā bulandī se jis ghaḌī
zainab bachā ke laa.ī ridāoñ ke dosh pe
un ko bujhā na pā.eñgī duniyā kī āñdhiyāñ
jalte haiñ jo charāġh duāoñ ke dosh pe
tere baġhair kaise guzartī hai aa ke dekh
kaTtī haiñ rāteñ aahoñ sadāoñ ke dosh pe
rahne lage hain hum jo duaon ke dosh pe
ban kar charagh ab hain hawaon ke dosh pe
islam gir raha tha bulandi se jis ghaDi
zainab bacha ke lai ridaon ke dosh pe
un ko bujha na paengi duniya ki aandhiyan
jalte hain jo charagh duaon ke dosh pe
tere baghair kaise guzarti hai aa ke dekh
kaTti hain raaten aahon sadaon ke dosh pe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.