rahnuma kahte hain Thahro rahzan baiThe na hon
rahnumā kahte haiñ Thahro rāhzan baiThe na hoñ
mudda.ā ye hai ki ham pīchhe chaleñ aage na hoñ
be-niyāzāna guzar jaane kā shikva kyā karūñ
baad muddat ke mile mumkin hai pahchāne na hoñ
kyā zarūrī hai ki mīr-e-kārvāñ aage rahe
kārvāñ ko lūTne vaale kahīñ pīchhe na hoñ
ho chukī pāgal-shumārī ho chuke jangal reserve
aql vāloñ se kaho ab aur dīvāne na hoñ
ye bhī policy hai haq vāloñ kā haq hargiz na do
saath hī ye bhī hidāyat hai ki hangāme na hoñ
rahnuma kahte hain Thahro rahzan baiThe na hon
muddaa ye hai ki hum pichhe chalen aage na hon
be-niyazana guzar jaane ka shikwa kya karun
baad muddat ke mile mumkin hai pahchane na hon
kya zaruri hai ki mir-e-karwan aage rahe
karwan ko luTne wale kahin pichhe na hon
ho chuki pagal-shumari ho chuke jangal reserwe
aql walon se kaho ab aur diwane na hon
ye bhi policy hai haq walon ka haq hargiz na do
sath hi ye bhi hidayat hai ki hangame na hon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.