rahoge bazm-e-hasti mein yunhi be-dast-o-pa kab tak
rahoge bazm-e-hasti mein yunhi be-dast-o-pa kab tak
Nafees Ahmad Sahar
MORE BYNafees Ahmad Sahar
rahoge bazm-e-hastī meñ yūñhī be-dast-o-pā kab tak
karoge tum zamāne se muqaddar kā gila kab tak
nazar se husn kā āḳhir baḌhegā fāsla kab tak
taḳhayyul kā na gard-ālūd hogā aa.ina kab tak
chalegī sahn-e-gulshan meñ ta.assub kī havā kab tak
rahegā aadmī kā aadmī dushman bhalā kab tak
kabhī sochā bhī dīvāno shab-e-ġham rāh-e-manzil meñ
sahārā tum ko degā har qadam par rahnumā kab tak
ḳhushāmad jī huzūrī ḳhud-farebī se chaman vaalo
rafū karte rahoge chāk-e-dāmān-e-qabā kab tak
are nā-āqibat-andesh is mauj talātum se
bachā.egā yuuñ hī har-vaqt tujh ko nāḳhudā kab tak
use kuchh mashvara deñ ahl-e-dānish kis liye chup haiñ
'sahar' dasht-e-tajassus meñ rahe sīmāb-pā kab tak
rahoge bazm-e-hasti mein yunhi be-dast-o-pa kab tak
karoge tum zamane se muqaddar ka gila kab tak
nazar se husn ka aaKHir baDhega fasla kab tak
taKHayyul ka na gard-alud hoga aaina kab tak
chalegi sahn-e-gulshan mein tassub ki hawa kab tak
rahega aadmi ka aadmi dushman bhala kab tak
kabhi socha bhi diwano shab-e-gham rah-e-manzil mein
sahaara tum ko dega har qadam par rahnuma kab tak
KHushamad ji huzuri KHud-farebi se chaman walo
rafu karte rahoge chaak-e-daman-e-qaba kab tak
are na-aqibat-andesh is mauj talatum se
bachaega yun hi har-waqt tujh ko naKHuda kab tak
use kuchh mashwara den ahl-e-danish kis liye chup hain
'sahar' dasht-e-tajassus mein rahe simab-pa kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.