rahta hai apni dhun mein hawa par sawar waqt
rahtā hai apnī dhun meñ havā par savār vaqt
kartā nahīñ kisī kā kabhī intizār vaqt
dariyā hai aur lauT ke aatā nahīñ kabhī
sun kunj-e-āfiyat meñ na apnā guzār vaqt
aatā nahīñ giraft meñ merī kisī tarah
sīmāb kī tarah hai bahut be-qarār vaqt
baaqī tamām umr kaTī hai fuzūl meñ
guzrā jo tere saath hai vo yādgār vaqt
gar mil gayā kisī ko to vo ḳhush-nasīb hai
miltā nahīñ hai sab ko yahāñ baar baar vaqt
sab kaam nā-tamām paḌe haiñ mire abhī
thoḌā sā mujh ko de mire parvardigār vaqt
rahtā hai ek haal meñ bas ik mirā ḳhudā
rahtā nahīñ hai ek sā ai mere yaar vaqt
ye vaqt bhī 'hanīf' guzar jā.egā zarūr
aa.egā ek roz idhar ḳhush-gavār vaqt
rahta hai apni dhun mein hawa par sawar waqt
karta nahin kisi ka kabhi intizar waqt
dariya hai aur lauT ke aata nahin kabhi
sun kunj-e-afiyat mein na apna guzar waqt
aata nahin giraft mein meri kisi tarah
simab ki tarah hai bahut be-qarar waqt
baqi tamam umr kaTi hai fuzul mein
guzra jo tere sath hai wo yaadgar waqt
gar mil gaya kisi ko to wo KHush-nasib hai
milta nahin hai sab ko yahan bar bar waqt
sab kaam na-tamam paDe hain mere abhi
thoDa sa mujh ko de mere parwardigar waqt
rahta hai ek haal mein bas ek mera KHuda
rahta nahin hai ek sa ai mere yar waqt
ye waqt bhi 'hanif' guzar jaega zarur
aaega ek roz idhar KHush-gawar waqt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.