rahta hai hamesha jo meri yar baghal mein
rahtā hai hamesha jo mirī yaar baġhal meñ
jalte haiñ use dekh ke aġhyār baġhal meñ
kyā lutf ho gar aish ke sāmān baham hoñ
ma.ashūq bhī ho shoḳh-e-trahdār baġhal meñ
har vaqt jo āġhosh meñ rahtā thā hamārī
ab us ko liye phirte haiñ aġhyār baġhal meñ
kis tarah maiñ samjhūñ ki vo karte haiñ mohabbat
aate nahīñ bhūle se bhī ik baar baġhal meñ
mai-noshī kā jab haz hai ki ho bar-lab-e-dariyā
sāġhar ho agar haath meñ to yaar baġhal meñ
sab miT ga.ī 'hājir' shab-e-furqat kī musībat
ḳhuub us ko dabā kar jo kiyā pyaar baġhal meñ
rahta hai hamesha jo meri yar baghal mein
jalte hain use dekh ke aghyar baghal mein
kya lutf ho gar aish ke saman baham hon
mashuq bhi ho shoKH-e-trahdar baghal mein
har waqt jo aaghosh mein rahta tha hamari
ab us ko liye phirte hain aghyar baghal mein
kis tarah main samjhun ki wo karte hain mohabbat
aate nahin bhule se bhi ek bar baghal mein
mai-noshi ka jab haz hai ki ho bar-lab-e-dariya
saghar ho agar hath mein to yar baghal mein
sab miT gai 'hajir' shab-e-furqat ki musibat
KHub us ko daba kar jo kiya pyar baghal mein
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 99)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.