rahta hai jaise chand sitaron ke darmiyan
rahtā hai jaise chāñd sitāroñ ke darmiyāñ
aise hī maiñ khaḌā huuñ hazāroñ ke darmiyāñ
dil ko sukūn miltā nahīñ hai tire binā
ab zindagī hai dard ke māroñ ke darmiyāñ
kitnā hasīn dikhne meñ lagtā hai ye gulāb
rahtā hai phir bhī aaj bhī ḳhāroñ ke darmiyāñ
tanhā kabhī huā to ye dil ne mire kahā
chalte haiñ aao ham bhī mazāroñ ke darmiyāñ
tum kyoñ talāsh karte ho 'haidar' ko mere dost
vo to phañsā huā hai ġhubāroñ ke darmiyāñ
rahta hai jaise chand sitaron ke darmiyan
aise hi main khaDa hun hazaron ke darmiyan
dil ko sukun milta nahin hai tere bina
ab zindagi hai dard ke maron ke darmiyan
kitna hasin dikhne mein lagta hai ye gulab
rahta hai phir bhi aaj bhi KHaron ke darmiyan
tanha kabhi hua to ye dil ne mere kaha
chalte hain aao hum bhi mazaron ke darmiyan
tum kyon talash karte ho 'haidar' ko mere dost
wo to phansa hua hai ghubaron ke darmiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.