rahte hain intishaar mein sae idhar udhar
rahte haiñ intishār meñ saa.e idhar udhar
imkān-e-ishq sab hī gañvā.e idhar udhar
maiñ dasht-e-be-giyāh meñ bhejī ga.ī magar
kartī phirūñ maiñ dasht meñ haa.e idhar udhar
ahl-e-zabān gum rahe tasbīh meñ mirī
rakkhūñ maiñ jān-e-shauq chhupā.e idhar udhar
sahrā ko pyaas sauñp ke dariyā simaT gayā
abr-e-siyāh duur hī chhā.e idhar udhar
vo ishq-e-nā-murād mirī jaan le gayā
phāhe to zaḳhm-e-jāñ pe sajā.e idhar udhar
rāhoñ meñ tīrgī ne ujāle ko Das liyā
ye raat kaale jism ko khaa.e idhar udhar
āvārgī kā zauq 'humā' dil ko bhā gayā
ye aur baat jaañ nahīñ jaa.e idhar udhar
rahte hain intishaar mein sae idhar udhar
imkan-e-ishq sab hi ganwae idhar udhar
main dasht-e-be-giyah mein bheji gai magar
karti phirun main dasht mein hae idhar udhar
ahl-e-zaban gum rahe tasbih mein meri
rakkhun main jaan-e-shauq chhupae idhar udhar
sahra ko pyas saunp ke dariya simaT gaya
abr-e-siyah dur hi chhae idhar udhar
wo ishq-e-na-murad meri jaan le gaya
phahe to zaKHm-e-jaan pe sajae idhar udhar
rahon mein tirgi ne ujale ko Das liya
ye raat kale jism ko khae idhar udhar
aawargi ka zauq 'huma' dil ko bha gaya
ye aur baat jaan nahin jae idhar udhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.