rahte kya manus-e-jaan bhi ab wo hum mein dam nahin
rahte kyā mānūs-e-jāñ bhī ab vo ham meñ dam nahīñ
ab tavāf-e-kū-e-jānāñ ko bhī jaate ham nahīñ
pūchhte bhī haiñ ilaaj is dard kā ek ik se ham
muḳhlisī āzār-e-ġham se chāhte bhī ham nahīñ
ho pilā.ī sab ko hī pīr-e-muġhāñ ne to kahīñ
tishnagī sairāb hogī kahte lekin ham nahīñ
sāmnā hai gardish-e-daurāñ se apnā to bhī kyā
laakh hoñ us ke kisī chakkar se Darte ham nahīñ
ro.ab bhī lete haiñ sar āñkhoñ pe ahl-e-husn kā
ho unhīñ kā nāz-e-bejā to uThāte ham nahīñ
sar mirā kaaTā magar dastār sar par rahne dī
mere qātil kā mire uupar karam ye kam nahīñ
dushmanī kiina hasad aur nafrateñ to haiñ magar
jazba-e-insāniyat hī dil meñ rakhte ham nahīñ
denā paḌtā hai use ab ḳhuuñ bahāne kā hisāb
ab kisī teġh-o-tabar meñ pahle jaisā dam nahīñ
is liye maa.il nahīñ 'panchhī' ba-aish-e-zīst ham
us kā jo anjām hogā ġhāfil us se ham nahīñ
rahte kya manus-e-jaan bhi ab wo hum mein dam nahin
ab tawaf-e-ku-e-jaanan ko bhi jate hum nahin
puchhte bhi hain ilaj is dard ka ek ek se hum
muKHlisi aazar-e-gham se chahte bhi hum nahin
ho pilai sab ko hi pir-e-mughan ne to kahin
tishnagi sairab hogi kahte lekin hum nahin
samna hai gardish-e-dauran se apna to bhi kya
lakh hon us ke kisi chakkar se Darte hum nahin
roab bhi lete hain sar aankhon pe ahl-e-husn ka
ho unhin ka naz-e-beja to uThate hum nahin
sar mera kaTa magar dastar sar par rahne di
mere qatil ka mere upar karam ye kam nahin
dushmani kina hasad aur nafraten to hain magar
jazba-e-insaniyat hi dil mein rakhte hum nahin
dena paDta hai use ab KHun bahane ka hisab
ab kisi tegh-o-tabar mein pahle jaisa dam nahin
is liye mail nahin 'panchhi' ba-aish-e-zist hum
us ka jo anjam hoga ghafil us se hum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.