rahte nahin qabu mein sar-e-rahguzar panw
rahte nahīñ qaabū meñ sar-e-rāhguzar paañv
rakhte haiñ idhar paañv to paḌte haiñ udhar paañv
kāñdhoñ pe liye umr kā bosīda janāza
jaatā hai udhar jism bhī jaate haiñ jidhar paañv
māhaul hī ā.īna-e-har-ahd-e-navī hai
jhūle hī meñ aa jaate haiñ bachche ke nazar paañv
baḌh jaate haiñ kuchh aur bhī manzil ke taqāze
kho dete haiñ jab hausla-e-azm-e-safar paañv
pāmāl hue haiñ ka.ī sahrāoñ ke siine
yūñhī nahīñ aate haiñ nazar ḳhāk-basar paañv
har chand baḌhī jaatī hai lamhoñ kī masāfat
thakte nahīñ baḌhte hue sadiyoñ ke magar paañv
miltī nahīñ gar zehn ko idrāk kī āñkheñ
rakhte hī nahīñ farsh pe mahrūm-e-basar paañv
shahroñ kī tijorī kabhī detī nahīñ roTī
khetoñ meñ pahuñchte nahīñ dahqāñ ke agar paañv
sīdhī sahī lekin rah-e-iḳhlās pe 'ahmar'
paḌte haiñ zamāne ke ba-andāz-e-digar paañv
rahte nahin qabu mein sar-e-rahguzar panw
rakhte hain idhar panw to paDte hain udhar panw
kandhon pe liye umr ka bosida janaza
jata hai udhar jism bhi jate hain jidhar panw
mahaul hi aaina-e-har-ahd-e-nawi hai
jhule hi mein aa jate hain bachche ke nazar panw
baDh jate hain kuchh aur bhi manzil ke taqaze
kho dete hain jab hausla-e-azm-e-safar panw
pamal hue hain kai sahraon ke sine
yunhi nahin aate hain nazar KHak-basar panw
har chand baDhi jati hai lamhon ki masafat
thakte nahin baDhte hue sadiyon ke magar panw
milti nahin gar zehn ko idrak ki aankhen
rakhte hi nahin farsh pe mahrum-e-basar panw
shahron ki tijori kabhi deti nahin roTi
kheton mein pahunchte nahin dahqan ke agar panw
sidhi sahi lekin rah-e-iKHlas pe 'ahmar'
paDte hain zamane ke ba-andaz-e-digar panw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.