rahzani ko rahbari samjhe the hum
rahzanī ko rahbarī samjhe the ham
dushmanī ko dostī samjhe the ham
be-muravvat bevafā sābit huā
jis ko muḳhlis aadmī samjhe the ham
naqsh-e-pā-e-yār pe sar rakh diyā
bas isī ko bandagī samjhe the ham
qatl kī sāzish meñ haiñ vo bhī sharīk
jin ko apnī zindagī samjhe the ham
jaan lene kī thī ik vo bhī adā
jis ko un kī sādgī samjhe the ham
yād-e-māzī mustaqil ik dard hai
is ko ab tak aarzī samjhe the ham
ḳhuun dil kā ho rahā thā ai 'ziyā'
aur us ko bekalī samjhe the ham
rahzani ko rahbari samjhe the hum
dushmani ko dosti samjhe the hum
be-murawwat bewafa sabit hua
jis ko muKHlis aadmi samjhe the hum
naqsh-e-pa-e-yar pe sar rakh diya
bas isi ko bandagi samjhe the hum
qatl ki sazish mein hain wo bhi sharik
jin ko apni zindagi samjhe the hum
jaan lene ki thi ek wo bhi ada
jis ko un ki sadgi samjhe the hum
yaad-e-mazi mustaqil ek dard hai
is ko ab tak aarzi samjhe the hum
KHun dil ka ho raha tha ai 'ziya'
aur us ko bekali samjhe the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.