rakh di uDa ke KHak-e-bayaban kabhi kabhi
rakh dī uḌā ke ḳhāk-e-bayābāñ kabhī kabhī
raas aa gayā hai gosha-e-zindāñ kabhī kabhī
laa.e haiñ ham butoñ pe bhī īmāñ kabhī kabhī
qalb-o-nazar hue haiñ musalmāñ kabhī kabhī
chhā.ī hai ḳhāk-e-shahr-e-nigārāñ kabhī kabhī
dekhā unheñ qarīb-e-rag-e-jāñ kabhī kabhī
nāloñ kā thā karishma ki āh-e-rasā kā faiz
vā ho gayā hai ḳhud dar-e-zindāñ kabhī kabhī
aql-e-fareb-kār se kartā hai mashvare
Dhātā hai kyā sitam dil-e-nālāñ kabhī kabhī
zabt-e-alam hai ishq meñ shart-e-vafā magar
aa.e haiñ ashk bhī sar-e-mizhgāñ kabhī kabhī
ik shor-e-hashr ho gayā mai-ḳhānoñ meñ bapā
sāġhar se hai uThā mire tūfāñ kabhī kabhī
tauf-e-harīm-e-nāz-e-butāñ meñ kaTī hai umr
ka.aba ke bhī bane haiñ nigahbāñ kabhī kabhī
dekhā hai ye bhī maiñ ne ba-faiz-e-junūñ 'munīr'
ātish-kada banā hai gulistāñ kabhī kabhī
rakh di uDa ke KHak-e-bayaban kabhi kabhi
ras aa gaya hai gosha-e-zindan kabhi kabhi
lae hain hum buton pe bhi iman kabhi kabhi
qalb-o-nazar hue hain musalman kabhi kabhi
chhai hai KHak-e-shahr-e-nigaran kabhi kabhi
dekha unhen qarib-e-rag-e-jaan kabhi kabhi
nalon ka tha karishma ki aah-e-rasa ka faiz
wa ho gaya hai KHud dar-e-zindan kabhi kabhi
aql-e-fareb-kar se karta hai mashware
Dhata hai kya sitam dil-e-nalan kabhi kabhi
zabt-e-alam hai ishq mein shart-e-wafa magar
aae hain ashk bhi sar-e-mizhgan kabhi kabhi
ek shor-e-hashr ho gaya mai-KHanon mein bapa
saghar se hai uTha mere tufan kabhi kabhi
tauf-e-harim-e-naz-e-butan mein kaTi hai umr
kaba ke bhi bane hain nigahban kabhi kabhi
dekha hai ye bhi main ne ba-faiz-e-junun 'munir'
aatish-kada bana hai gulistan kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.