rakh rahe hain is liye marham alag
rakh rahe haiñ is liye marham alag
aur zaḳhmoñ se hai us kā ġham alag
us ke hāl-e-dil se hai sab dhūp-chhāñv
us se hote hī nahīñ mausam alag
vo hī chehre aañkh tak aate haiñ ab
vo hī jo hote haiñ us se kam alag
aap ke hoñToñ pe ik duniyā na.ī
aap kī āñkhoñ meñ do-ālam alag
dil pareshāñ thā tumhāre hijr se
aañkh bhī hone ko hai ab nam alag
dil bhulāne hī nahīñ detā tumheñ
kaise ho pā.eñge aise ham alag
rakh rahe hain is liye marham alag
aur zaKHmon se hai us ka gham alag
us ke haal-e-dil se hai sab dhup-chhanw
us se hote hi nahin mausam alag
wo hi chehre aankh tak aate hain ab
wo hi jo hote hain us se kam alag
aap ke honTon pe ek duniya nai
aap ki aankhon mein do-alam alag
dil pareshan tha tumhaare hijr se
aankh bhi hone ko hai ab nam alag
dil bhulane hi nahin deta tumhein
kaise ho paenge aise hum alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.