rakha hai dil un buton se humne chhupa chhupa kar chhupa chhupa kar
rakha hai dil un buton se humne chhupa chhupa kar chhupa chhupa kar
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
rakhā hai dil un butoñ se ham ne chhupā chhupā kar chhupā chhupā kar
balā ye Taalī hai sar se apne ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
sitam to dekho ye kyā sitam hai bulā ke ġhairoñ ko paas apne
vo kis DhiTā.ī se haiñ biThā.e dikhā dikhā kar dikhā dikhā kar
zabāñ pe laane se fā.eda kyā mujhe ḳhabar hai adū ne un ko
mirī taraf se kiyā hai bad-zan lagā lagā kar lagā lagā kar
sunī haqīqat na kaan dhar ke kabhī na pūchhā ki haal kyā hai
fasāna-e-ġham ham un ko haare sunā sunā kar sunā sunā kar
bhalā na ġhusse se ham chabā.eñ batāo kyūñ-kar na hoñT apnā
raqīb karte haiñ ham se bāteñ chabā chabā kar chabā chabā kar
jatā.e dete haiñ itnā ham ye tum un ke dam meñ kahīñ na aanā
vo jān-o-dil leñ haiñ chhīn bāteñ banā banā kar banā banā kar
jo haath bandoñ kā 'aish' us ne karam se ḳhālī nahīñ hai rakkhā
duā.eñ māñgeñ haiñ us se vo haath uThā uThā kar uThā uThā kar
rakha hai dil un buton se hum ne chhupa chhupa kar chhupa chhupa kar
bala ye Tali hai sar se apne KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
sitam to dekho ye kya sitam hai bula ke ghairon ko pas apne
wo kis DhiTai se hain biThae dikha dikha kar dikha dikha kar
zaban pe lane se faeda kya mujhe KHabar hai adu ne un ko
meri taraf se kiya hai bad-zan laga laga kar laga laga kar
suni haqiqat na kan dhar ke kabhi na puchha ki haal kya hai
fasana-e-gham hum un ko haare suna suna kar suna suna kar
bhala na ghusse se hum chabaen batao kyun-kar na honT apna
raqib karte hain hum se baaten chaba chaba kar chaba chaba kar
jatae dete hain itna hum ye tum un ke dam mein kahin na aana
wo jaan-o-dil len hain chhin baaten bana bana kar bana bana kar
jo hath bandon ka 'aish' us ne karam se KHali nahin hai rakkha
duaen mangen hain us se wo hath uTha uTha kar uTha uTha kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.