rakkhe hain aap hath jahan ab wahan nahin
rakkhe haiñ aap haath jahāñ ab vahāñ nahīñ
ham kyā batā.eñ dard kahāñ hai kahāñ nahīñ
dil le ga.e vo dard-e-mohabbat kahāñ rahe
'ibrat kā hai mahal ki makīñ hai makāñ nahīñ
a barq kis ke vāste betāb aaj hai
is baaġh meñ mirā to kahīñ āshiyāñ nahīñ
qātil samajh ke aaj zarā teġh-e-nāz khīñch
ye imtihāñ tirā hai mirā imtihāñ nahīñ
chhūTeñge 'umr bhar tirī zulfoñ ke kyā asiir
kaaTe kaTeñ kisī ke ye vo beḌiyāñ nahīñ
lo ik jahāñ unhīñ kā taraf-dār ho gayā
mahshar meñ aaj koī mirā ham-zabāñ nahīñ
duniyā meñ hashr uThe bhī to kyā dekh kar uThe
mere mazār kā to kahīñ bhī nishāñ nahīñ
tum kyā badal ga.e zamāna badal gayā
ab vo zamīñ nahīñ hai vo ab āsmāñ nahīñ
maskan zamīn-e-sher meñ 'safdar' banā liyā
rahte haiñ us zamīñ pe jahāñ āsmāñ nahīñ
rakkhe hain aap hath jahan ab wahan nahin
hum kya bataen dard kahan hai kahan nahin
dil le gae wo dard-e-mohabbat kahan rahe
'ibrat ka hai mahal ki makin hai makan nahin
a barq kis ke waste betab aaj hai
is bagh mein mera to kahin aashiyan nahin
qatil samajh ke aaj zara tegh-e-naz khinch
ye imtihan tera hai mera imtihan nahin
chhuTenge 'umr bhar teri zulfon ke kya asir
kaTe kaTen kisi ke ye wo beDiyan nahin
lo ek jahan unhin ka taraf-dar ho gaya
mahshar mein aaj koi mera ham-zaban nahin
duniya mein hashr uThe bhi to kya dekh kar uThe
mere mazar ka to kahin bhi nishan nahin
tum kya badal gae zamana badal gaya
ab wo zamin nahin hai wo ab aasman nahin
maskan zamin-e-sher mein 'safdar' bana liya
rahte hain us zamin pe jahan aasman nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.