rakhe hain dil mein jahan-bhar ki talKHiyan ab bhi
rakhe haiñ dil meñ jahāñ-bhar kī talḳhiyāñ ab bhī
vo jin kī yaad meñ aatī haiñ hichkiyāñ ab bhī
girī vajūd pe yuuñ to haiñ bārhā lekin
mirī talāsh meñ rahtī haiñ bijliyāñ ab bhī
agan jo krodh kī ThanDī paḌe chale aanā
sulah kī khol ke rakkhī haiñ khiḌkiyāñ ab bhī
barābarī ke jo da.ave kare haiñ vo sun leñ
miTā.ī kokh meñ jaatī haiñ beTiyāñ ab bhī
juTā hai daaġh lagāne pe ye jahāñ un par
jo khā rahe haiñ sharāfat kī roTiyāñ ab bhī
qarīb tan se ye maanā haiñ aap ham lekin
diloñ ke biich musalsal haiñ dūriyāñ ab bhī
miTā sakīñ na zamāne kī nafrateñ 'hīrā'
jahāñ meñ shaad haiñ chāhat kī bastiyāñ ab bhī
rakhe hain dil mein jahan-bhar ki talKHiyan ab bhi
wo jin ki yaad mein aati hain hichkiyan ab bhi
giri wajud pe yun to hain barha lekin
meri talash mein rahti hain bijliyan ab bhi
agan jo krodh ki ThanDi paDe chale aana
sulah ki khol ke rakkhi hain khiDkiyan ab bhi
barabari ke jo dawe kare hain wo sun len
miTai kokh mein jati hain beTiyan ab bhi
juTa hai dagh lagane pe ye jahan un par
jo kha rahe hain sharafat ki roTiyan ab bhi
qarib tan se ye mana hain aap hum lekin
dilon ke bich musalsal hain duriyan ab bhi
miTa sakin na zamane ki nafraten 'hira'
jahan mein shad hain chahat ki bastiyan ab bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.