rakhen hain ji mein magar mujhse bad-gumani aap
rakhen hain ji mein magar mujhse bad-gumani aap
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
rakheñ haiñ jī meñ magar mujh se bad-gumānī aap
jo mere haath se piite nahīñ haiñ paanī aap
ghaḌī ghaḌī na kareñ ham pe mehrbānī aap
ki husn rakhte haiñ aur ālam-e-javānī aap
maiñ bosa le le ke ruḳh kā uThā diyā parda
isī ġhurūr pe karte the lan-tarānī aap
maiñ apnā haal jo kahne lagā to yuuñ bolā
''sune hai kaun kahā kījiye kahānī aap''
maiñ be-gunāh sazā-vār gāliyoñ kā nahīñ
na mere saath kareñ itnī bad-zabānī aap
musavviroñ ne qalam rakh diye haiñ hāthoñ se
banāveñ aa.ine meñ apnā naqsh-e-sānī aap
vafā kī is se talab kar na hargiz ai nādāñ
ki bevafā hai tilism-e-jahān-e-fānī aap
sharāb vasl kā kis kī piyā hai ye sāġhar
ḳhumār-e-shab se jo rakhte haiñ sargirānī aap
ye bevafā bhī miyāñ-'mus.hafī' kisī ke hue
butoñ pe karte ho kyuuñ itnī jāñ-fishānī aap
rakhen hain ji mein magar mujh se bad-gumani aap
jo mere hath se pite nahin hain pani aap
ghaDi ghaDi na karen hum pe mehrbani aap
ki husn rakhte hain aur aalam-e-jawani aap
main bosa le le ke ruKH ka uTha diya parda
isi ghurur pe karte the lan-tarani aap
main apna haal jo kahne laga to yun bola
sune hai kaun kaha kijiye kahani aap
main be-gunah saza-war galiyon ka nahin
na mere sath karen itni bad-zabani aap
musawwiron ne qalam rakh diye hain hathon se
banawen aaine mein apna naqsh-e-sani aap
wafa ki is se talab kar na hargiz ai nadan
ki bewafa hai tilism-e-jahan-e-fani aap
sharab wasl ka kis ki piya hai ye saghar
KHumar-e-shab se jo rakhte hain sargirani aap
ye bewafa bhi miyan-'mushafi' kisi ke hue
buton pe karte ho kyun itni jaan-fishani aap
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(hashtum) (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.