rakhna ho to dil ko nigah-e-yar mein rakhna
rakhnā ho to dil ko nigah-e-yār meñ rakhnā
is jins-e-girāmī ko na bāzār meñ rakhnā
ham ahl-e-tamannā kī bas itnī hai karāmat
ik ḳhvāb sadā dīda-e-bedār meñ rakhnā
anjām-e-tarab bhī to ta.assuf hai so is baar
ḳhushiyoñ ko bhī taḳhmīna-e-āzār meñ rakhnā
ab ghar jo banānā koī ḳhvāboñ kī zamīñ par
imkān-e-taghayyur dar-o-dīvār meñ rakhnā
nāhaq kisī mazlūm par uTThe to lachak jaa.e
ye jauhar-e-nāyāb bhī talvār meñ rakhnā
ye kyā ki har ik dil meñ jagānā talab-e-husn
aur ḳhud ko nihāñ parda-e-asrār meñ rakhnā
rakhna ho to dil ko nigah-e-yar mein rakhna
is jins-e-girami ko na bazar mein rakhna
hum ahl-e-tamanna ki bas itni hai karamat
ek KHwab sada dida-e-bedar mein rakhna
anjam-e-tarab bhi to tassuf hai so is bar
KHushiyon ko bhi taKHmina-e-azar mein rakhna
ab ghar jo banana koi KHwabon ki zamin par
imkan-e-taghayyur dar-o-diwar mein rakhna
nahaq kisi mazlum par uTThe to lachak jae
ye jauhar-e-nayab bhi talwar mein rakhna
ye kya ki har ek dil mein jagana talab-e-husn
aur KHud ko nihan parda-e-asrar mein rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.