rakhna kahan hai dil ne jo dusra rahega
rakhnā kahāñ hai dil ne jo dūsrā rahegā
ab ye makān yūñhī ḳhālī paḌā rahegā
us kī nigāhoñ par dil ko e.atibār bhī hai
ḳhadsha bichhaḌne kā par apnī jagah rahegā
tum dekhnā hamāre bachche dukhī raheñge
aur aage saat nasloñ meñ ye ḳhalā rahegā
ik shaḳhs ko dilā na paayā yaqīn-e-ulfat
is baat kā mujhe pachhtāvā huā rahegā
ho jā.egā kisī din bezār mujh se vo bhī
ik chiiz kī huī meñ kab tak nasha rahegā
rakhna kahan hai dil ne jo dusra rahega
ab ye makan yunhi KHali paDa rahega
us ki nigahon par dil ko eatibar bhi hai
KHadsha bichhaDne ka par apni jagah rahega
tum dekhna hamare bachche dukhi rahenge
aur aage sat naslon mein ye KHala rahega
ek shaKHs ko dila na paya yaqin-e-ulfat
is baat ka mujhe pachhtawa hua rahega
ho jaega kisi din bezar mujh se wo bhi
ek chiz ki hui mein kab tak nasha rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.