rakhna qadam yahan to zara dekh bhaal ke
rakhnā qadam yahāñ to zarā dekh bhaal ke
bād-e-urūj aate haiñ din bhī zavāl ke
kiije na aap ham se kabhī tanziya savāl
varna javāb hoñge ka.ī ik savāl ke
maiñ bhī to aadmī huuñ koī jānvar nahīñ
kyoñ dekhte ho mujh ko tum āñkheñ nikāl ke
kuchh to ḳhatā zarūr huī aaj aap se
kyūñke jabīñ pe qatre haiñ kuchh infi.āl ke
ruk jaao varna dekh lo pachhtāoge sadā
yuuñ jāoge jo aaj mirī baat Taal ke
ḳhushiyoñ ke pīchhe bhāgne vaalo suno suno
ḳhushiyāñ na mil sakeñgī sivā.e malāl ke
charche kisī kamāl ke hote haiñ ḳhud-baḳhud
qisse bayāñ na kījiye apne kamāl ke
'ḳhākī' ko be-sabab na karo mushta.il kabhī
anjām bhī bure haiñ bure ishti.āl ke
rakhna qadam yahan to zara dekh bhaal ke
baad-e-uruj aate hain din bhi zawal ke
kije na aap hum se kabhi tanziya sawal
warna jawab honge kai ek sawal ke
main bhi to aadmi hun koi jaanwar nahin
kyon dekhte ho mujh ko tum aankhen nikal ke
kuchh to KHata zarur hui aaj aap se
kyunke jabin pe qatre hain kuchh infial ke
ruk jao warna dekh lo pachhtaoge sada
yun jaoge jo aaj meri baat Tal ke
KHushiyon ke pichhe bhagne walo suno suno
KHushiyan na mil sakengi siwae malal ke
charche kisi kamal ke hote hain KHud-baKHud
qisse bayan na kijiye apne kamal ke
'KHaki' ko be-sabab na karo mushtail kabhi
anjam bhi bure hain bure ishtial ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.