raKHt-e-safar ka maine irada nahin kiya
raḳht-e-safar kā maiñ ne irāda nahīñ kiyā
raushan charāġh-e-manzil-e-jāda nahīñ kiyā
tujh se bichhaḌ ke aur mirā dil udaas ho
milne kā is liye abhī va.ada nahīñ kiyā
shiddat se thā malāl shab-e-hijr kā magar
shāne pe tere sar ko nihāda nahīñ kiyā
dil mutma.in hai bā.is-e-tajdīd-e-dostī
us ko ḳhafā bhī had se ziyāda nahīñ kiyā
sab kuchh atā huā tirī rahmat se is liye
dast-e-talab ko aur kushāda nahīñ kiyā
shāyad ki merī ruuh ko bālīdgī mile
ḳhud ko rahīn-e-sāġhar-o-bāda nahīñ kiyā
shāyad mirī jabīñ ko mile izn-e-bandagī
dil ke varq ko is liye saada nahīñ kiyā
mujh ko na tamkanat kā ho ehsās-e-be-ziyāñ
qāmat ko apne aur sitāra nahīñ kiyā
apnī talāsh meñ huuñ 'sabā' is liye abhī
sū-e-haram safar kā irāda nahīñ kiyā
raKHt-e-safar ka main ne irada nahin kiya
raushan charagh-e-manzil-e-jada nahin kiya
tujh se bichhaD ke aur mera dil udas ho
milne ka is liye abhi wada nahin kiya
shiddat se tha malal shab-e-hijr ka magar
shane pe tere sar ko nihada nahin kiya
dil mutmain hai bais-e-tajdid-e-dosti
us ko KHafa bhi had se ziyaada nahin kiya
sab kuchh ata hua teri rahmat se is liye
dast-e-talab ko aur kushada nahin kiya
shayad ki meri ruh ko baalidgi mile
KHud ko rahin-e-saghar-o-baada nahin kiya
shayad meri jabin ko mile izn-e-bandagi
dil ke warq ko is liye sada nahin kiya
mujh ko na tamkanat ka ho ehsas-e-be-ziyan
qamat ko apne aur sitara nahin kiya
apni talash mein hun 'saba' is liye abhi
su-e-haram safar ka irada nahin kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.