raKHt-e-safar safar se alag kar diya gaya
raḳht-e-safar safar se alag kar diyā gayā
ḳhvāboñ ko chashm-e-tar se alag kar diyā gayā
aadam se jā ke miltā hai jab sab kā silsila
phir kyoñ bashar bashar se alag kar diyā gayā
be-ghar hue haiñ kitne parinde na pūchhiye
shāḳhoñ ko jab shajar se alag kar diyā gayā
rishtoñ ke sabz-bāġh dikhā.e ga.e mujhe
aur us ke baad ghar se alag kar diyā gayā
dushman se laḌ rahā hai abhī merā hausla
hālāñki jism sar se alag kar diyā gayā
shab-ḳhūn maar kar mirī nīñdoñ pe 'altamash'
ḳhvāboñ kī rahguzar se alag kar diyā gayā
raKHt-e-safar safar se alag kar diya gaya
KHwabon ko chashm-e-tar se alag kar diya gaya
aadam se ja ke milta hai jab sab ka silsila
phir kyon bashar bashar se alag kar diya gaya
be-ghar hue hain kitne parinde na puchhiye
shaKHon ko jab shajar se alag kar diya gaya
rishton ke sabz-bagh dikhae gae mujhe
aur us ke baad ghar se alag kar diya gaya
dushman se laD raha hai abhi mera hausla
haalanki jism sar se alag kar diya gaya
shab-KHun mar kar meri nindon pe 'altamash'
KHwabon ki rahguzar se alag kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.