raKHt rah-gir chhoD aae hain
raḳht rah-gīr chhoḌ aa.e haiñ
paañv zanjīr chhoḌ aa.e haiñ
qaid-ḳhāne ke ek kone meñ
apnī tasvīr chhoḌ aa.e haiñ
ḳhvāb āñkhoñ ke saath le aa.e
aur tā'bīr chhoḌ aa.e haiñ
vo bhī lahore se chalī aa.ī
ham bhī kashmīr chhoḌ aa.e haiñ
ḳhaar kī rah-guzar mahakne ko
phuul tāsīr chhoḌ aa.e haiñ
yād-e-māzī ko dil uThā laayā
zaḳhm iksīr chhoḌ aa.e haiñ
zang-ālūd ho ga.ī hogī
ham jo shamshīr chhoḌ aa.e haiñ
ek chhoTā sā halqa-e-yārāñ
yā'nī jāgīr chhoḌ aa.e haiñ
lakhna.ū chhoḌne ke baa'd lagā
sohbat-e-'mīr' chhoḌ aa.e haiñ
jald lauTegā aap kā 'mehvar'
us ko tahrīr chhoḌ aa.e haiñ
raKHt rah-gir chhoD aae hain
panw zanjir chhoD aae hain
qaid-KHane ke ek kone mein
apni taswir chhoD aae hain
KHwab aankhon ke sath le aae
aur ta'bir chhoD aae hain
wo bhi lahore se chali aai
hum bhi kashmir chhoD aae hain
KHar ki rah-guzar mahakne ko
phul tasir chhoD aae hain
yaad-e-mazi ko dil uTha laya
zaKHm iksir chhoD aae hain
zang-alud ho gai hogi
hum jo shamshir chhoD aae hain
ek chhoTa sa halqa-e-yaran
ya'ni jagir chhoD aae hain
lakhnau chhoDne ke ba'd laga
sohbat-e-'mir' chhoD aae hain
jald lauTega aap ka 'mehwar'
us ko tahrir chhoD aae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.