rakhta hai apne sath gunahon ka bar dil
rakhtā hai apne saath gunāhoñ kā baar dil
ujle se mere siine meñ hai dāġh-dār dil
taqvā se gar bharā ho to phir nekiyoñ kī samt
is tarah dauḌtā hai ki ho shahsavār dil
haiñ aaj sab ke sīnoñ meñ patthar rakhe hue
barsā.e āsmān se parvardigār dil
kab tak tū us kī yaad ko rakhegā oḌh kar
phaTne lagī hai ab to qabā ye utaar dil
kaisī munāfiqāna ravish hai ki jism ko
detā hai paak ḳhuun yahī pur-ġhubār dil
kāñToñ se ġham ke is ko chhuḌāne ke vāste
khīñchā jo maiñ ne aur huā tār-tār dil
har baat par hai merā ye dushman banā huā
siine meñ chubhtā rahtā hai mānind-e-ḳhār dil
kahtā hai sher daaġh ke lahje meñ ab 'nabīl'
ho na ho us kā bhī hai bahut be-qarār dil
rakhta hai apne sath gunahon ka bar dil
ujle se mere sine mein hai dagh-dar dil
taqwa se gar bhara ho to phir nekiyon ki samt
is tarah dauDta hai ki ho shahsawar dil
hain aaj sab ke sinon mein patthar rakhe hue
barsae aasman se parwardigar dil
kab tak tu us ki yaad ko rakhega oDh kar
phaTne lagi hai ab to qaba ye utar dil
kaisi munafiqana rawish hai ki jism ko
deta hai pak KHun yahi pur-ghubar dil
kanTon se gham ke is ko chhuDane ke waste
khincha jo main ne aur hua tar-tar dil
har baat par hai mera ye dushman bana hua
sine mein chubhta rahta hai manind-e-KHar dil
kahta hai sher dagh ke lahje mein ab 'nabil'
ho na ho us ka bhi hai bahut be-qarar dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.