rakhta hun dil ko main gham-e-kaun-o-makan se dur
rakhta hun dil ko main gham-e-kaun-o-makan se dur
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
rakhtā huuñ dil ko maiñ ġham-e-kaun-o-makāñ se duur
merā jahāñ hai kun-fayakūñ ke jahāñ se duur
bedād kā ḳhayāl hai na ḳhvāhish hai daad kī
rahtā huuñ maiñ zamīn se duur āsmāñ se duur
ik kunj-e-be-kasī hai mirī manzil-e-sukūñ
ye bhī ujaaḌ de to nahīñ āsmāñ se duur
ḳhāmosh huuñ zamāna ke andāz dekh kar
dil se zabāñ bhī duur hai dil bhī zabāñ se duur
shāyad mire yaqīn se tum duur ho ga.e
mumkin nahīñ ki rah sako mere gumāñ se duur
mujh ko ḳhabar nahīñ ki ye duniyā-o-dīñ haiñ kyā
parvāz-e-fikr apnī hai donoñ jahāñ se duur
maiñ jāntā huuñ un kī masarrat kī talḳhiyāñ
jo jī rahe haiñ rah ke ġham-e-jāvedāñ se duur
bālisht bhar zamīñ hai mirī manzil-e-sukūn
ye bhī ujaaḌ de to nahīñ āsmāñ se duur
duniyā-o-dīñ haiñ dozaḳh-o-jannat ke pher meñ
gardish meñ merī fikr hai donoñ jahāñ se duur
ham bhī ba-qaul 'fānī'-e-marhūm in dinoñ
hindostāñ meñ rahte haiñ hindostāñ se duur
rakhta hun dil ko main gham-e-kaun-o-makan se dur
mera jahan hai kun-fayakun ke jahan se dur
bedad ka KHayal hai na KHwahish hai dad ki
rahta hun main zamin se dur aasman se dur
ek kunj-e-be-kasi hai meri manzil-e-sukun
ye bhi ujaD de to nahin aasman se dur
KHamosh hun zamana ke andaz dekh kar
dil se zaban bhi dur hai dil bhi zaban se dur
shayad mere yaqin se tum dur ho gae
mumkin nahin ki rah sako mere guman se dur
mujh ko KHabar nahin ki ye duniya-o-din hain kya
parwaz-e-fikr apni hai donon jahan se dur
main jaanta hun un ki masarrat ki talKHiyan
jo ji rahe hain rah ke gham-e-jawedan se dur
baalisht bhar zamin hai meri manzil-e-sukun
ye bhi ujaD de to nahin aasman se dur
duniya-o-din hain dozaKH-o-jannat ke pher mein
gardish mein meri fikr hai donon jahan se dur
hum bhi ba-qaul 'fani'-e-marhum in dinon
hindostan mein rahte hain hindostan se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.