rakhta hun main kafan mein jo taswir-e-yar ko
rakhtā huuñ maiñ kafan meñ jo tasvīr-e-yār ko
matlab ye hai sajā.ūñgā apne mazār ko
rahne do miTne vaale kī is yādgār ko
tum kyoñ miTā rahe ho kisī ke mazār ko
aap us se haal ‘āriz-o-gesū kā pūchhiye
dekhā ho jis ne gardish-e-lail-o-nahār ko
ūñchā zamīn se ho to ye āsmāñ bane
samjhe haiñ aap kyā mire musht-e-ġhubār ko
dast-e-junūñ to jāma-darī meñ phañse rahe
talvoñ se bhī nikāl sake ye na ḳhaar ko
sayyād se ye kahtī hai ghabrā ke 'andalīb
kar de qafas meñ band havā-e-bahār ko
aisā na ho ki tum bhī ho bechain dekh kar
dekho zarā sañbhal ke dil-e-be-qarār ko
mar kar isī meñ kushta-e-hasrat huā hai dafn
miTTī kā Dher aap na samjheñ mazār ko
pahlū jalā jigar bhī jalā dil bhī jal gayā
dekhe koī mire nafas-e-sho’la-bār ko
'ālam nazar meñ hai kisī zulf-e-darāz kā
maiñ tuul de rahā huuñ shab-e-intizār ko
laayā bhī to koī na jalī vo tamām raat
kyā laag thī mazār se sham’-e-mazār ko
pahlū meñ jab se ye hai musībat meñ jaan hai
de duuñ kise uThā ke dil-e-be-qarār ko
'bismil' ke hote qatl-gah-e-nāz meñ vo shoḳh
bismil kare na aur kisī jāñ-nisār ko
rakhta hun main kafan mein jo taswir-e-yar ko
matlab ye hai sajaunga apne mazar ko
rahne do miTne wale ki is yaadgar ko
tum kyon miTa rahe ho kisi ke mazar ko
aap us se haal ‘ariz-o-gesu ka puchhiye
dekha ho jis ne gardish-e-lail-o-nahaar ko
uncha zamin se ho to ye aasman bane
samjhe hain aap kya mere musht-e-ghubar ko
dast-e-junun to jama-dari mein phanse rahe
talwon se bhi nikal sake ye na KHar ko
sayyaad se ye kahti hai ghabra ke 'andalib
kar de qafas mein band hawa-e-bahaar ko
aisa na ho ki tum bhi ho bechain dekh kar
dekho zara sanbhal ke dil-e-be-qarar ko
mar kar isi mein kushta-e-hasrat hua hai dafn
miTTi ka Dher aap na samjhen mazar ko
pahlu jala jigar bhi jala dil bhi jal gaya
dekhe koi mere nafas-e-sho’la-bar ko
'alam nazar mein hai kisi zulf-e-daraaz ka
main tul de raha hun shab-e-intizar ko
laya bhi to koi na jali wo tamam raat
kya lag thi mazar se sham’-e-mazar ko
pahlu mein jab se ye hai musibat mein jaan hai
de dun kise uTha ke dil-e-be-qarar ko
'bismil' ke hote qatl-gah-e-naz mein wo shoKH
bismil kare na aur kisi jaan-nisar ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.