rakhte hain mere sath wo yun bair dekhiye
rakhte haiñ mere saath vo yuuñ bair dekhiye
jaise maiñ un ke vāste huuñ ġhair dekhiye
afsos jin ke pairoñ meñ rakhtā huuñ apnā dil
rakhte haiñ mere dil pe vahī pair dekhiye
us ne kahā hai saath nibhā.egā vo mirā
ummīd to nahīñ hai mujhe ḳhair dekhiye
dekheñ vo shaḳhs aa ke chalā to nahīñ gayā
ulTe lage hue haiñ yahāñ pair dekhiye
vo shaḳhs chal paḌā hai mire saath āḳhirash
'anjum' kī sāhiwal meñ ab sair dekhiye
rakhte hain mere sath wo yun bair dekhiye
jaise main un ke waste hun ghair dekhiye
afsos jin ke pairon mein rakhta hun apna dil
rakhte hain mere dil pe wahi pair dekhiye
us ne kaha hai sath nibhaega wo mera
ummid to nahin hai mujhe KHair dekhiye
dekhen wo shaKHs aa ke chala to nahin gaya
ulTe lage hue hain yahan pair dekhiye
wo shaKHs chal paDa hai mere sath aaKHirash
'anjum' ki sahiwal mein ab sair dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.