rakhte the taswiron se diwar-o-dar aabaad
rakhte the tasvīroñ se dīvār-o-dar ābād
aise bhī kuchh shahr hue haiñ miT miT kar ābād
sar ābād ḳhayāloñ se ḳhvāboñ se nagar ābād
ek jahāñ hai bāhar apne ik andar ābād
ishq thā apnī jagah aTal samjhauta apnī jā
ek se dil ābād rahā aur ek se ghar ābād
sāgar sāgar rone vaale ro kar phir muskā.e
raat rahe jo bastī vīrāñ kare sahar ābād
aao phir se jiinā sīkheñ basnā basānā sīkheñ
jaise parind shajar se haiñ aur un se shajar ābād
aaj to lagtā hai har manzar naach rahā hai 'shākir'
andar sukh kī dhuum machī so bāhar hai ābād
rakhte the taswiron se diwar-o-dar aabaad
aise bhi kuchh shahr hue hain miT miT kar aabaad
sar aabaad KHayalon se KHwabon se nagar aabaad
ek jahan hai bahar apne ek andar aabaad
ishq tha apni jagah aTal samjhauta apni ja
ek se dil aabaad raha aur ek se ghar aabaad
sagar sagar rone wale ro kar phir muskae
raat rahe jo basti viran kare sahar aabaad
aao phir se jina sikhen basna basana sikhen
jaise parind shajar se hain aur un se shajar aabaad
aaj to lagta hai har manzar nach raha hai 'shakir'
andar sukh ki dhum machi so bahar hai aabaad
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 610)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.