rakkha hai maine arz-o-samawat ka bharam
rakkhā hai maiñ ne arz-o-samāvāt kā bharam
mere vajūd se hai tirī zaat kā bharam
pāgal havā ne āḳhirash us ko bhulā diyā
toḌā thā jis diye ne siyah raat kā bharam
jis shaḳhs par thā ḳhud se ziyāda yaqīñ mujhe
rakkhā na us ne merī kisī baat kā bharam
chhūTegā dil kabhī tirī yādoñ kī qaid se
TūTegā ek din ye tilismāt kā bharam
merī ġhazal kā rang nahīñ yūñhī munfarid
lafzoñ pe munhasir hai ḳhayālāt kā bharam
baḳhshegā vo duāoñ ko sharf-e-qubūliyyat
rakkhegā mere ashkoñ kī barsāt kā bharam
'sāgar' tumhāre zabt kī tārīf kyā kareñ
ab tak to barqarār hai jazbāt kā bharam
rakkha hai main ne arz-o-samawat ka bharam
mere wajud se hai teri zat ka bharam
pagal hawa ne aaKHirash us ko bhula diya
toDa tha jis diye ne siyah raat ka bharam
jis shaKHs par tha KHud se ziyaada yaqin mujhe
rakkha na us ne meri kisi baat ka bharam
chhuTega dil kabhi teri yaadon ki qaid se
TuTega ek din ye tilismat ka bharam
meri ghazal ka rang nahin yunhi munfarid
lafzon pe munhasir hai KHayalat ka bharam
baKHshega wo duaon ko sharf-e-qubuliyyat
rakkhega mere ashkon ki barsat ka bharam
'sagar' tumhaare zabt ki tarif kya karen
ab tak to barqarar hai jazbaat ka bharam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.