rang apna badal rahi hai dhup
rang apnā badal rahī hai dhuup
chhāñv kī samt chal rahī hai dhuup
zindagī kī hasīn jhīloñ meñ
lahlahātā kañval rahī hai dhuup
chiir kar tīrgī ke siine ko
āsmāñ se nikal rahī hai dhuup
dard-o-zaḳhm-o-alam kī sūrat ab
ek sāñche meñ Dhal rahī hai dhuup
zehn-e-shā'ir meñ jā basī jab se
ban ke dilkash ġhazal rahī hai dhuup
ek dariyā ke niile dāman meñ
rafta rafta phisal rahī hai dhuup
ek muddat pe dil ke āñgan se
aaj 'betāb' Dhal rahī hai dhuup
rang apna badal rahi hai dhup
chhanw ki samt chal rahi hai dhup
zindagi ki hasin jhilon mein
lahlahata kanwal rahi hai dhup
chir kar tirgi ke sine ko
aasman se nikal rahi hai dhup
dard-o-zaKHm-o-alam ki surat ab
ek sanche mein Dhal rahi hai dhup
zehn-e-sha'ir mein ja basi jab se
ban ke dilkash ghazal rahi hai dhup
ek dariya ke nile daman mein
rafta rafta phisal rahi hai dhup
ek muddat pe dil ke aangan se
aaj 'betab' Dhal rahi hai dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.