rang apna na jama un pe asar kuchh na hua
rang apnā na jamā un pe asar kuchh na huā
ḳhuun rone se bhī ai dīda-e-tar kuchh na huā
roz Tal jaatā hai dīdār kā va.ada kal par
ab tak is kā asar ai ahl-e-ḳhabar kuchh na huā
na samajhtā thā ki mar jā.ūñgā maiñ hijr kī shab
haif zinda hī rahā tā-ba-sahar kuchh na huā
sulh-e-kul vaale hī insān kahe jaate haiñ
shar kiyā jis ne kisī se vo bashar kuchh na huā
vaar us teġh-e-adā kā kabhī ḳhālī na gayā
muñh pe lī ham ne ka.ī baar sipar kuchh na huā
vasl kā ḳhātma sad-shukr huā sulh ke saath
chain se raat basar ho ga.ī shar kuchh na huā
vahī motī hai jo ho sarf tire zevar meñ
jo na in kānoñ tak aaya vo guhar kuchh na huā
aañkh kī band yahāñ aur vahāñ jā pahuñche
manzil-e-mulk-e-adam kā to safar kuchh na huā
kyā kaheñ zor na qismat se chalā ai 'akbar'
koshisheñ vasl kī lākhoñ huiiñ par kuchh na huā
rang apna na jama un pe asar kuchh na hua
KHun rone se bhi ai dida-e-tar kuchh na hua
roz Tal jata hai didar ka wada kal par
ab tak is ka asar ai ahl-e-KHabar kuchh na hua
na samajhta tha ki mar jaunga main hijr ki shab
haif zinda hi raha ta-ba-sahar kuchh na hua
sulh-e-kul wale hi insan kahe jate hain
shar kiya jis ne kisi se wo bashar kuchh na hua
war us tegh-e-ada ka kabhi KHali na gaya
munh pe li hum ne kai bar sipar kuchh na hua
wasl ka KHatma sad-shukr hua sulh ke sath
chain se raat basar ho gai shar kuchh na hua
wahi moti hai jo ho sarf tere zewar mein
jo na in kanon tak aaya wo guhar kuchh na hua
aankh ki band yahan aur wahan ja pahunche
manzil-e-mulk-e-adam ka to safar kuchh na hua
kya kahen zor na qismat se chala ai 'akbar'
koshishen wasl ki lakhon huin par kuchh na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.