rang badla nazar aata hai siyah-KHane ka
rang badlā nazar aatā hai siyah-ḳhāne kā
sham' detī hai patā raat ke Dhal jaane kā
kyā bharosa hai kisī shoḳh ke ghar aane kā
kuchh Thikāna hai tabī'at ke badal jaane kā
justujū meñ tirī allāh ye naubat pahuñchī
kabhī kā'be kā hai pherā kabhī but-ḳhāne kā
tire mai-ḳhvār to piite nahīñ lekin saaqī
jhuk ke muñh chuum liyā karte haiñ paimāne kā
sab kī suntā hai magar apnī to kahtā hī nahīñ
sab se andāz alag hai tire dīvāne kā
kyoñ na ḳhāmosh raheñ jalva-gah-e-nāz meñ ham
khup gayā āñkhoñ meñ 'ālam tire sharmāne kā
chāhne vaalā kaleje se lagā letā hai
koī patthar bhī jo miltā hai sanam-ḳhāne kā
chhiḌ ga.ī shaiḳh se aur rind se tauba tauba
sāmnā ho gayā dīvāne se dīvāne kā
yaad rakhiye ki qayāmat meñ gavāhī degā
gosha gosha mire ujḌe hue vīrāne kā
ġham ne is tarh ghulāyā ki burā haal huā
aap kī jaan se duur aap ke dīvāne kā
merī āñkheñ na ḳhudā ke liye vo din dekheñ
rang badlā huā saaqī tire maiḳhāne kā
ghar chhuTā desh chhuTā apne parā.e chhūTe
aur kyā jaatā tire 'ishq meñ dīvāne kā
laakh sajde to faqat hote haiñ gintī ke liye
ek sajda hai bahut tere sanam-ḳhāne kā
chup bhī rahne meñ nahīñ chain hai mai-ḳhvāroñ ko
aur shikva bhī gavāra nahīñ maiḳhāne kā
tū jise chāhe use kaun miTā saktā hai
miTte miTte bhī nishāñ baaqī hai but-ḳhāne kā
terī mastī bharī āñkhoñ kī qasam hai saaqī
sar pe ehsān hai shīshe kā na paimāne kā
ghar se niklā hai sar-e-shām vo jangal kī taraf
ab ḳhudā-hāfiz-o-nāsir tire dīvāne kā
jaan kab kā na diye hotā musībat ye hai
zindagī saath jo de jaatī hai dīvāne kā
roiye gā.iye kuchh kījiye 'bismil' sāhib
ab gayā daur palaT kar ke nahīñ aane kā
rang badla nazar aata hai siyah-KHane ka
sham' deti hai pata raat ke Dhal jaane ka
kya bharosa hai kisi shoKH ke ghar aane ka
kuchh Thikana hai tabi'at ke badal jaane ka
justuju mein teri allah ye naubat pahunchi
kabhi ka'be ka hai phera kabhi but-KHane ka
tere mai-KHwar to pite nahin lekin saqi
jhuk ke munh chum liya karte hain paimane ka
sab ki sunta hai magar apni to kahta hi nahin
sab se andaz alag hai tere diwane ka
kyon na KHamosh rahen jalwa-gah-e-naz mein hum
khup gaya aankhon mein 'alam tere sharmane ka
chahne wala kaleje se laga leta hai
koi patthar bhi jo milta hai sanam-KHane ka
chhiD gai shaiKH se aur rind se tauba tauba
samna ho gaya diwane se diwane ka
yaad rakhiye ki qayamat mein gawahi dega
gosha gosha mere ujDe hue virane ka
gham ne is tarh ghulaya ki bura haal hua
aap ki jaan se dur aap ke diwane ka
meri aankhen na KHuda ke liye wo din dekhen
rang badla hua saqi tere maiKHane ka
ghar chhuTa desh chhuTa apne parae chhuTe
aur kya jata tere 'ishq mein diwane ka
lakh sajde to faqat hote hain ginti ke liye
ek sajda hai bahut tere sanam-KHane ka
chup bhi rahne mein nahin chain hai mai-KHwaron ko
aur shikwa bhi gawara nahin maiKHane ka
tu jise chahe use kaun miTa sakta hai
miTte miTte bhi nishan baqi hai but-KHane ka
teri masti bhari aankhon ki qasam hai saqi
sar pe ehsan hai shishe ka na paimane ka
ghar se nikla hai sar-e-sham wo jangal ki taraf
ab KHuda-hafiz-o-nasir tere diwane ka
jaan kab ka na diye hota musibat ye hai
zindagi sath jo de jati hai diwane ka
roiye gaiye kuchh kijiye 'bismil' sahib
ab gaya daur palaT kar ke nahin aane ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.