rang-birange naqsh ubhar kar tair rahe hain pani par
rang-birange naqsh ubhar kar tair rahe haiñ paanī par
chāñd ne apnī muhr lagā dī dariyā kī peshānī par
tum kyā jaano tum kyā samjho 'ishq isī ko kahte haiñ
ham ne apnī 'umr guzārī kaise ek kahānī par
āḳhir maiñ ne ḳhuun se apne vo tasvīr mukammal kī
kab tak bebas baiThā rahtā rangoñ kī man-mānī par
nasleñ vahshī ho jaatī haiñ yaar hifāzat karne meñ
ḳhush hone kī baat nahīñ hai sahrā kī sultānī par
kab tak khanDar apnī kahānī hameñ sunā.egā 'nādir'
kab tak āñkheñ jamī raheñgī dekheñ is vīrānī par
rang-birange naqsh ubhar kar tair rahe hain pani par
chand ne apni muhr laga di dariya ki peshani par
tum kya jaano tum kya samjho 'ishq isi ko kahte hain
hum ne apni 'umr guzari kaise ek kahani par
aaKHir main ne KHun se apne wo taswir mukammal ki
kab tak bebas baiTha rahta rangon ki man-mani par
naslen wahshi ho jati hain yar hifazat karne mein
KHush hone ki baat nahin hai sahra ki sultani par
kab tak khanDar apni kahani hamein sunaega 'nadir'
kab tak aankhen jami rahengi dekhen is virani par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.