rang dikhlae phir iman to kuchh baat bane
rang dikhlae phir iman to kuchh baat bane
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
rang dikhlā.e phir īmān to kuchh baat bane
koī shabbīr ho qurbān to kuchh baat bane
sub.h-e-nau raushnī phailāne ko bechain to hai
log hoñ dil se musalmān to kuchh baat bane
uljhaneñ yuuñ bhī sulajhtī haiñ kisī pahlū se
khul ke ho zulf pareshān to kuchh baat bane
ġhairat-e-ādam-e-ḳhākī kā bhram rah jaa.e
sho'la-sāmān ho insān to kuchh baat bane
dil ki barsoñ se hai ummīd kā dāman thāme
kījiye dard kā sāmān to kuchh baat bane
nā-tavāñ jism hai tūfān hai tanhā.ī hai
jaan meñ aa.e kahīñ jaan to kuchh baat bane
jis tarah pyaar kī 'zaidī' ne tamanna kī hai
us tarah bhī ho mirī jaan to kuchh baat bane
rang dikhlae phir iman to kuchh baat bane
koi shabbir ho qurban to kuchh baat bane
subh-e-nau raushni phailane ko bechain to hai
log hon dil se musalman to kuchh baat bane
uljhanen yun bhi sulajhti hain kisi pahlu se
khul ke ho zulf pareshan to kuchh baat bane
ghairat-e-adam-e-KHaki ka bhram rah jae
sho'la-saman ho insan to kuchh baat bane
dil ki barson se hai ummid ka daman thame
kijiye dard ka saman to kuchh baat bane
na-tawan jism hai tufan hai tanhai hai
jaan mein aae kahin jaan to kuchh baat bane
jis tarah pyar ki 'zaidi' ne tamanna ki hai
us tarah bhi ho meri jaan to kuchh baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.