rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main
rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main
Mirza Mohammad Taqi Hawas
MORE BYMirza Mohammad Taqi Hawas
rañg-e-gul-e-shagufta huuñ āb-e-ruḳh-e-chaman huuñ maiñ
sham-e-haram charāġh-e-dair qashqa-e-barahman huuñ maiñ
kasrat-e-jaur-e-yār se sab haiñ ye mere juzv-e-tan
soz-o-malāl-o-yās-o-dard ranj-o-ġham-o-mehan huuñ maiñ
maiñ huuñ nasīm to bahār maiñ huuñ shamīm zulf-e-yār
go ki nazar se huuñ nihāñ dāḳhil-e-anjuman huuñ maiñ
sarv-nashīñ aur haiñ shāḳh-nashīñ gul aur haiñ
qumrī-e-āshiyāñ-ḳharāb bulbul-e-be-vatan huuñ maiñ
ḳhanda-zanāñ haiñ tujh pe go ye ḳhiradān-e-rozgār
ahl-e-ḳhirad meñ ai 'havas' raunaq-e-anjuman huuñ meñ
rang-e-gul-e-shagufta hun aab-e-ruKH-e-chaman hun main
sham-e-haram charagh-e-dair qashqa-e-barahman hun main
kasrat-e-jaur-e-yar se sab hain ye mere juzw-e-tan
soz-o-malal-o-yas-o-dard ranj-o-gham-o-mehan hun main
main hun nasim to bahaar main hun shamim zulf-e-yar
go ki nazar se hun nihan daKHil-e-anjuman hun main
sarw-nashin aur hain shaKH-nashin gul aur hain
qumri-e-ashiyan-KHarab bulbul-e-be-watan hun main
KHanda-zanan hain tujh pe go ye KHiradan-e-rozgar
ahl-e-KHirad mein ai 'hawas' raunaq-e-anjuman hun mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.