rang-e-mahfil hai kahan subh-e-bahaaran ki tarah
rang-e-mahfil hai kahāñ sub.h-e-bahārāñ kī tarah
bazm sajtī hai magar husn-e-gurezāñ kī tarah
yaad aatī hai tirī mauj-e-havā ke mānind
dil meñ chubhtī hai magar ḳhār-e-muġhīlāñ kī tarah
hukm hai marg-e-tabassum kā urūs-e-gul ko
hākim-e-vaqt kī taqdīr hai yazdāñ kī tarah
umr bhar ke liye sarshār jo kar de aisī
mai kahāñ se koī laa.e ġham-e-pinhāñ kī tarah
shahr meñ bhī mirī vahshat kā Thikānā kyā hai
dil ke vīrāne to phaile haiñ bayābāñ kī tarah
aa gayā paas koī ālam-e-tanhā.ī meñ
jī ko ThanDak sī milī dard ke darmāñ kī tarah
raat tārīk sahī raat ke sahrā meñ magar
kitne mahtāb ubhar aa.e ġhazālāñ kī tarah
zulf-bar-dosh hañsī lab pe nigāhoñ meñ nasha
khil uThā chehra-e-mahbūb gulistāñ kī tarah
jaane kis ḳhaak se uTThā thā tamanna kā ḳhamīr
āgahī lipTī rahī gesū-e-jānāñ kī tarah
tujh se jab chhuT ke hue pahle-pahal ham tanhā
raat bhar rote rahe sham-e-shabistāñ kī tarah
ishq ke aur haiñ andāz bahut se 'anjum'
koī rusvā na huā chāk-e-garebāñ kī tarah
rang-e-mahfil hai kahan subh-e-bahaaran ki tarah
bazm sajti hai magar husn-e-gurezan ki tarah
yaad aati hai teri mauj-e-hawa ke manind
dil mein chubhti hai magar KHar-e-mughilan ki tarah
hukm hai marg-e-tabassum ka urus-e-gul ko
hakim-e-waqt ki taqdir hai yazdan ki tarah
umr bhar ke liye sarshaar jo kar de aisi
mai kahan se koi lae gham-e-pinhan ki tarah
shahr mein bhi meri wahshat ka Thikana kya hai
dil ke virane to phaile hain bayaban ki tarah
aa gaya pas koi aalam-e-tanhai mein
ji ko ThanDak si mili dard ke darman ki tarah
raat tarik sahi raat ke sahra mein magar
kitne mahtab ubhar aae ghazalan ki tarah
zulf-bar-dosh hansi lab pe nigahon mein nasha
khil uTha chehra-e-mahbub gulistan ki tarah
jaane kis KHak se uTTha tha tamanna ka KHamir
aagahi lipTi rahi gesu-e-jaanan ki tarah
tujh se jab chhuT ke hue pahle-pahal hum tanha
raat bhar rote rahe sham-e-shabistan ki tarah
ishq ke aur hain andaz bahut se 'anjum'
koi ruswa na hua chaak-e-gareban ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.